

Bandau Santoshi charan riddhi-siddhi dataar।
Dhyaan dharat hi hot nar dukh saagar se paar॥
Bhaktan ko santosh de Santoshi tav naam।
Kripa karahu Jagdamb ab aaya tere dhaam॥
॥ 1 ॥
Jai Santoshi maat anupam।
Shanti daayini roop manoram॥
॥ 2 ॥
Sundar varan chaturbhuj roopa।
Vesh manohar lalit anupa॥
॥ 3 ॥
Shwetambar roop manhaari।
Maa tumhaari chhavi jag se nyaari॥
॥ 4 ॥
Divya swaroopa aayat lochan।
Darshan se ho sankat mochan॥
॥ 5 ॥
Jai Ganesh ki suta Bhavaani।
Riddhi-siddhi ki putri gyaani॥
॥ 6 ॥
Agam agochar tumhari maaya।
Sab par karo kripa ki chhaaya॥
॥ 7 ॥
Naam anek tumhare mata।
Akhil vishwa hai tumko dhyaata॥
॥ 8 ॥
Tumne roop anekon dhaare।
Ko kahi sake charitra tumhare॥
॥ 9 ॥
Dhaam anek kahaan tak kahiye।
Sumiran tab karke sukh lahiye॥
॥ 10 ॥
Vindhyachal mein Vindhyavaasini।
Koteshwar Saraswati suhaasini॥
॥ 11 ॥
Kalkatte mein tu hi Kaali।
Dusht naashini mahakaraali॥
॥ 12 ॥
Sambalpur Bahuchara kahaati।
Bhaktajanon ka dukh mitaati॥
॥ 13 ॥
Jwala ji mein Jwala Devi।
Poojat nitya bhakt jan sevi॥
॥ 14 ॥
Nagar Bambai ki maharani।
Maha Lakshmi tum kalyaani॥
॥ 15 ॥
Madura mein Meenakshi tum ho।
Sukh dukh sabki saakshi tum ho॥
॥ 16 ॥
Rajnagar mein tum Jagdambe।
Bani Bhadrakaali tum Ambe॥
॥ 17 ॥
Pavagadh mein Durga mata।
Akhil vishwa tera yash gaata॥
॥ 18 ॥
Kashi puraadheeshwari mata।
Annapurna naam suhaata॥
॥ 19 ॥
Sarvaanand karo kalyaani।
Tumhi Sharda amrit vaani॥
॥ 20 ॥
Tumhari mahima jal mein thal mein।
Dukh daaridra sab meto pal mein॥
॥ 21 ॥
Jete rishi aur muneesha।
Narad dev aur devesha॥
॥ 22 ॥
Is jagati ke nar aur naari।
Dhyaan dharat hain mat tumhaari॥
॥ 23 ॥
Japar kripa tumhaari hoti।
Wah paata bhakti ka moti॥
॥ 24 ॥
Dukh daaridra sankat mit jaata।
Dhyaan tumhaara jo jan dhyaata॥
॥ 25 ॥
Jo jan tumhari mahima gaavai।
Dhyaan tumhaara kar sukh paavai॥
॥ 26 ॥
Jo man raakhe shuddh bhaavna।
Taki pooran karo kaamna॥
॥ 27 ॥
Kumati nivaari sumati ki daatri।
Jayati jayati mata jagdhaatri॥
॥ 28 ॥
Shukravaar ka divas suhaavan।
Jo vrat kare tumhaara paavan॥
॥ 29 ॥
Gud chhole ka bhog lagaavai।
Katha tumhaari sune sunaavai॥
॥ 30 ॥
Vidhivat pooja kare tumhaari।
Phir prasad paave shubhkaari॥
॥ 31 ॥
Shakti-saamrath ho jo dhan ko।
Daan-dakshina de vipran ko॥
॥ 32 ॥
Ve jagati ke nar au naari।
Manvaanchhit phal paavein bhaari॥
॥ 33 ॥
Jo jan sharan tumhari jaave।
So nishchay bhav se tar jaave॥
॥ 34 ॥
Tumharo dhyaan kumaari dhyaave।
Nishchay manvaanchhit var paavai॥
॥ 35 ॥
Sadhva pooja kare tumhaari।
Amar suhaagin ho wah naari॥
॥ 36 ॥
Vidhva dhar ke dhyaan tumhaara।
Bhavsaagar se utre paara॥
॥ 37 ॥
Jayati jayati jay sankat harni।
Vighn vinaashan mangal karni॥
॥ 38 ॥
Hum par sankat hai ati bhaari।
Vegi khabar lo maat hamaari॥
॥ 39 ॥
Nishidin dhyaan tumhaaro dhyaata।
Deh bhakti var hum ko mata॥
॥ 40 ॥
Yah chalisa jo nit gaave।
So bhavsaagar se tar jaave॥
Santoshi Maa ke sada bandahoon pag nish vaas।
Poorn manorath ho sakal maat harau bhav traas॥
The Chalisa describes Santoshi Mata's manifestations across different places in India — Vindhyachal, Kolkata, Jwalaji, Mumbai, Madurai, Kashi, and Pavagadh among others — showing how one divine mother is worshipped under many names and forms throughout the country.